@Krishna_Bhardwaj Bhaiya Agar Mai Website se Medicine ka likha hata du phir Adsense K liye appply karu to hoga?? Ya Phir Health Website Pr Approval Milta??
Abhishek haan ho bhi sakta hai, par mai aapko ye bhi suggest karunga ki koi bhi aisi jankari jo sensitive hai jaise pregnancy, heart problems, etc, ye sab par bhi aap kam hi likhen.
Krishna_Bhardwaj Thik hai Phir Health k topic me mai kya likhu bhaiya
Chijon k health Benefits to likh sakta hu Usme milega ya nhi Kuch samjh nhi aa rha
Abhishek aisi koi cheez mat likhiye jo ek Dr ko hi likhni chahiye, iske alawa aap likh skte hain hair growth ke bare me, skin ke baare me, healthy lifestyle ke baare me, ye safe area hai.
Krishna_Bhardwaj Matlab Ab tak jo jo likha hu sab delete kr ke phir se likhna shuru karu
Abhishek Abhishek ji, aap ek baar apply karke dekh lijiye, agar nahi hota hai to aap content me change kar sakte hain saara delete karne ki jaroorat nahi hai.
Krishna_Bhardwaj thik hai bhaiya mai blogs me se Medicines nikal deta hu phir karta hu
Waise aur kuch Galatiya ho to bta dijiye use bhi thik karne ki koshish karta hu
Aur ab Health Benefits ke baare me likhuga
Bhaiya Maine apane Post se Medicine hata diya hai Ek baar aap check kariye pls aur kuch correction karna hai https://www.sehatvidya.com
Abhishek aap Apne titles ko theek kijiye ek word ke titles ko thoda bada kijiye jisse pata chale post me kya hai
Krishna_Bhardwaj okay Bhaiya
Abhishek bhai aap privacy policy page banadije aur diet, fitness k bare Mai bhi likh sakthe hai
Privacy Policy | Terms & Conditions | Contact